Celebration

“Zindagii jehad mein hai sabr ke qaabuu mein nahiin
nabz-e-hastii kaa lahuu kaamptii aansuu mein nahii
Urne khulne mein hai nakhat kham-e-gesu mein nahiin
Jannat aik aur hai jo mard ke pahluu mein nahiin
Uskii aazaad ravish par bhii machalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe
Goshey goshey mein sulagtii hai chitaa tere liye
Farz kaa bhes badaltii hai qazaa tere liye
Qahar hai terii har narm adaa tere liye
Zahar hii zahar hai duniyaa kii havaa tere liye
Rut badal daal agar phuulnaa phalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe
Qadr ab tak terii tarriikh ne jaanii hii nahiin
Tujh mein shole bhii hain bas ashkfishaanii hii nahiin
Tu haqiiqat bhii hai dilchasp kahaanii hii nahiin
Terii hastii bhii hai ik chiiz javaanii hii nahiin
Apnii tarrikh kaa unvaan badalnaa hai tujhe
Uth merii jaan mere saath hii chalnaa hai tujhe” Kaifi Azmi.
 

 

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s