Chalte chalte

Chalte chalte khyaal aata he, ‘ Jee ke kyaa ukhad lenge?’ aur phir khayaal aata he, ‘ mar ke bhi kyaa badlega?’

Kuch he unn rail ki patrion mein, kabhi dur tak chalne ke liye bolti hein.

Aur kabhi marne ko.

Roz iss kashmakash se dil guzarta he,

Phir koi khyaal aata he, koi yaad aa jata he.

Kabhi hava chu leti he, kabhi pate.

Kabhi kas kar apna hi haath thaam lete he

Kissi tarah se dil aur dimaag ko kabu mein laate he.

Dard kabhi aansuo mein beh jata he,

Kabhi halak mein, ek phasi hue cheek ban kar chup jata he.

Asmaan aur andhere ka sahaara he. Kabhi dusra tara dekh, ek muskurahat, hoton pe aati he.

‘Shayad dono saath he, shaayad mujhe dekhten honge.’ Shayad, shayad karte, dil behel jata he, ek aur din kat jata he.