Aaj humne sunah mohabbat shaheed hoti he. To humme khyaal aaaya ke khwaisheen, chahahate aur hasrate shaheed hoti he, yeh kambakht dil, mohabbat ko kaise shaheed hone deta he.
Mohabbat to kuch tare banke, asman mein tim timati he. Kuch aziz jo jald hi raakh ban gaye, unki yaad dilati he. Kabhi hum unko dekh, kabhi woh humme dekhte hue, muskurati he. Tasveere, ghar ki chaukhat, aur har ek kaune mein bas jati he. Halak mein ek cheekh ban kar tham jati he. Mohabbat kaise shaheed ho jaati he?
Mohabbat to kabhi chand ban jati he. Eid ka chand. Unn ratoon ki yaad dilati he, jab koi madhoshi mein, darwaaze pe dastak deta tha. Ankaheen batoon aur hum dono ke haathon mein woh chup jati he. Mohabbat kaise shaheed ho jati he?
Mohabbat to zare zare mein buni jati he. Ghar ke saman mein payee jati he. Har ek kamre mein, unke hathoon se banayee, kuch tutti hue lakad ki cheezon mein payee jati he. Jab mathe pe haat rakhe to, unn thapado ki yaad dilati he. Humesha, Palash Sen ki awaaz, mein payee jaati he. ‘ Kesse bhulegi mera naam?’ cheekhte hue, pucch jati he. Mohabbat kaise shaheed ho jati he?
Mohabbat to aankhon mein aur duaoon mein payee jati he. Dal ke kinare, kuch paani se mile aansuon me chamakti he, ya shamshan ghat mein kissi ki bahoon mein ashk bahate hue dikhti he. Mohabbat to jism pe sihahee se, aur dil mein tanhai se, gadd jati he. Mohabbat to inn sabh mein bat jati he. Mohabbat kaise shaheed ho jati he?