
Hum aurate he to hamesha galat hoti he. Humare kapdo se hi to admi akarshit hote he. Woh 6 maheene ki ladki aur 80 saal ki aurat ke libaaz ne hi aakarshit kiya hoga? Phir chahe woh Delhi ki bus mein bethi, 23 varsh ki Jyoti ho, Kanpur ke kheto mein payi hue Laxmi, ya phir Hathras ki woh ghas katti hue mahila, jiska shareer, zabaan, yahaan tak shav ko bhi nahin choda, darindo ne. Uski bezubani ab uski zabaan banegi. Chahe hum Dalit ho, ya, Brahmin, Musalmaan, Sikh ya ho Christian hum ek hi sharm ki maala mein bandhi jaati he ungli sirf hum par udti he aur sari galti to hamesha, humari hoti he.
Peda hote hi humme dafnaa dete he. Magar har Diwali apne gharo mein diya jala lete he, Lakshmi ko bulane ke liye. Saraswati, ko bhi puj te he, lekin humme shiksha dene se ghabraate he. Padh, likh kar , kahi aazad khyaal ki na ban jaye. Hum pavitr rahe, Gauri bane, prem ka vyahvaar rakhe, tabh bhi nashe se dhudh pati se mar khaye, magar galti to sirf humari hoti he.
Kuch aurate badtameez hoti he. Agar to 19 saal ki umar mein kissi aadmi se bandh jaye, to tabahi woh achi kehlati he. Hum apne ma, baap ko chord kissi ka ghar basaye, uske mata, pita Ki seva Kare, bache pale rasoi mein din bitaye aur muh ko hamesha bandh rakhe. Jab wahi shaks gulchare urai to woh ek mard hota he. Humme sikhaya jata he, woh mard ka huk hota he. To na maike ke ghar par, aur na pati, par hummara hak hota he! Humme se jo manti he ko jo mard ka haq, wohi hummara, woh dayaan kehlati he. Puri Zindagi- baap, pati, bête, kissi bhi mard ki jaydaat hum ban jati, magar varis nahin, lekin galati hamesha hum aurato ki hi hoti he.
Magar Galat to hum he! Jab humne apni betiyoon ko unke hako ke liye ladna nahin sikaya. Jab unhe mardo aur apne halato se samjhota karte he, yeh samjhaya. Kyuun ke humne unhe Kali Ka rup ban kar nahin dikhaya. Isliye, Galat to hum he.
– Saadiya Kochar 2020